Vietnam me chal rahi. Asian Women boxing championship me humari desh ki boxing player. Marry Kom ne kuch esa kar dikhaya jiska kisi ne socha bhi nahi tha. Tou Jaaniye Kaise Marry Kom Ne China Ki Khiladi Ko Final Me Haraya.
Indian women boxing Player Marry Kom ke bare me sabne suna hi hoga, ye ek boxing ki bohat hi prasiddh khiladi hai. Semi final me Japan ki khiladi Tsubasa Komura ko 5-0 se harakar Final me pohachi.
wednesday ko hue Final Boxing Match me unka mukabla. North Korea ki bohat hi prasiddh khiladi Kim Hyang Mi se hua. Kim Hyang Mi namak ye women boxing khiladi 5 baar world Boxing champion ka khitaab hasil kar chuki hai. itna hi nahi peechle olymipic me inhone bronze medal jita tha.
Ye bhi padhein: Womens Hockey Asian Cup 2017 Ke Final Match Me India Ne China ko Haraya
Par India ki Marry Kom ne ese khtarnaak khiladi ko Asian Women Championship me 5-0 se hara kar sabit kiya ke India ki ladkiyaan bhi kisi se kam nahi hai.
Sabse Agressive (गुस्से वाला) Virodhi
35 saal ki Marry Kom jo ke 48kg ke weight catagory me boxing karti hai, unka manna hai ki North Korean Kim Hyang Mi iss tournament ki sabse jyada agressive(गुस्से वाला) aur strong virodhi khiladi thi.
Par jab jahan mehanat aur lagann se nikahre hue qualities (गुण ) samne aate hai tou. jeet aksar kabiliyat ki hoti hai.Aur Marry Kom ne North Korean ki Kim Hyang Mi namak khiladi ko Asian Women Boxing Championship me harakar apni kabiliyat ko darshaya hai.
Iss video dwara dekhein ki kese Marry Kom ne North Korea ki khiladi Kim Hyang Mi ko haraya.
https://www.youtube.com/watch?v=lfTQlq3LNkg