India ek dusri sabse badi country hai population ke mamle me. Aur jetna population utna zyada crime. Ye baat to hume manna he hoga. Ke aaj kal crime rate bahut badh gaye hai. Aur kanoon bhi bahut kadi hai. Toa agar aap ke sath kabhi kuch bura ya kisi tareh ka crime hota hai. Toa aap kaise uske bare me report karwaenge.
Ise kehte hai ham FIR. Iska full form hai First Information Reported . Kabhi kabhi hum asafal bhi rehte hai FIR likhwane me. Yaha mai aapko FIR kaise likhwaya jata hai or isko likhwane ka sahi tarika bataunga..
Complaint kaha likhwaye ?
complaint likhwane ke lea aapko police station jana he padega. jaha ghatna ghate hai uske area ke paas me jo bhi police station hai waha jaa kr station in charge ko complaint likhwaye.
Complaint kon likhega(who is the officer on duty)
Sabse unche post wala padaadhikari(inspector/SHO) aapka complaint file kartahai
Agar SHO ya Inspector us waqt pr present nahi hota hai to sub inspector ya head constable bhi aapka FIR darj kara sakta hai.
Agar police station aapke complaint likhne se mana kar de to kya kare ?
har dhara ke anusar se police station ke lea complaint file karna bht zaruri hai
agar wo is chz ke lea mana karte hain to aap senior police officer ko ya superintendent in police.ya add SP ya circle officer
se bhi complaint kar skte hai,,fir wo aapki madad karnge apke case ko investigate karane me.
Kya FIR likhwane ke lea hme koe fee ya charge pay karna hota hai ?
G nahi,,hme FIR likhwane ke lea koe bhi fee ya charfe pay nhi karna hota hai,is chz ke lea unhe govt, pay krte hai
agar apke sath aesa hua h to aap foran senior inspector se iska complaint kejeye.
Ek FIR me in sb cheezon ka zoroor rakhe khayaal
What information do you want to convey?
Yaani aap kya soochna ya baat kehna chahte hai FIR me.
– In what capacity are you providing the information?
Aap kaun hai iss soochna ke baare me batane waale. Aapke ssath kuch hua hai ya kisi aur ke baare me baat hai.
– Who is the perpetrator of the crime?
Kiske against me aap report likha rahe hai.
– Who has the crime been committed against – victim /complainant?
Galat kiske saath hua hai. Kiska nuksaan hua hai.
– When was it committed (time)?
Kis time me. Kab aur kaha ye hua. Yaani ghatna ghati yaa baat hui.
– Where was it committed (specific place /locality/area)?
Exactly kis jagah pe ye crime hua jiski aap FIR likha rahe hai. Uska pura address.
– Why do you think it was committed?
Kya aapko kisi pe shaq hai. Kisi pe shaq hai toa uska detail batayiye.
– Which way (actual process involved) was it committed?
Kis tarike se crime hua ya ghatna ghati. Uss tarike se batyaiye.
– Were there any witnesses? (Names will be required here.)
Kya koi gawah hai. Toa uska detail bataiye.
– What were the losses? (Money /valuables/ possessions /physical damage etc.)
Kya kya nuksaan hua. Cheezo ka naam bataye.
Hume apne aas paas ke logo se aur duniya se bht satark reh kr jeena chaheye ye hmare lea bht ache baat hke hme govt se bht support mil raha hai. agar aap ye sahi tarika apnaoge FIR file karwane ka to case investigation bhi bht acha hoga.umeed krta hun ke apko ye post pasand aaya ho,stay connected,