Jab bhi ham kisi plane ko udata hua dekhte hai. To hmare man mai bhi yah khayal aata hai. Ki kash ham bhi is plane mai hote. Lekin kya aapne is cheej par dhyan diya hai. ki jyadatar planes ka colour white hi hota hai.
Agar aapke dimak mai bhi yah sawal aaya hai kabhi or jawab nahi mila hai to aaj ham aapko btate hai. Ki Jyadatar Planes Ka Colour White Hi Kyu Hota Hai.
Yah bhi padhiye- Computer Ke Bare Mai Puri Jankari Hindi Mai, Janiye Computer Kya Hai.
Scientific Reason’s-
In sabhi reasons ki wajah se jyadatar Planes ka color white hota hai.
- Ek cheej to AAP sabhi Jante hi hai. Ki ham log Summer’s mai jyadatar white color ki dress pahanate hai. Kyoki White color Surya se aane wali Tej prakash ki kirno ko paravartit karta hai.Jisse hame jyada garmi nahi lgti hai.To esliye summer mai white kapde pahnane ki salah di jati hai.Thik usi liye plane’s ka color bhi White rkha jata hai.jisse ki jab plane bahut unchayi par hota hai to surya ki kirno ko Reflact kar sake.Or plane mai bethe Travellers ko garmi ka jyada ehsas nahi ho.
- Plane’s ka White color rakhne ka dusra Reason yah hai.Ki jab bhi kisi plane mai kuch Darar ya nuksan,kharoch aa jati hai. To wo other color’s ki apeksha White mai clear dikhayi deti hai.Jisse ki use thik karne ke liye dekhne mai asani hoti hai.
Yah bhi padhiye- Whatsapp Ko Hack Karne Ka Sabse Aasan Tarika, Janiye Hindi Mai
- Or 3rd reason yah hai ki jab bhi kisi plane mai koi night ke samay durghatna ho jati hai.To White color ke plane ko dhudne mai asani hoti hai. Yaha tak ki jab bhi koi plane samundra mai dub jata hai. To white color hone se use asani se dhud skte hai.
- jo dusre color hote hai wo dhoop se thode din mai hi halke hone lagte hai. jab ki white color ke sath esi koi problem nahi hoti hai.Esliye bhi uska color white kiya jata hai.Kisi bhi plane ko paint karne mai 3weeks kareeb lag jata hai to usse company ko bhi loss hota hai. Jyada din tak ek hi paint chale esliye bhi white color rkha jata hai.
- Jyadatar planes ki company plane change karti rahti hai.Kharidati or bechti hai.To white color ke plane ka name change karne mai bhi asani hoti hai.
Yah bhi padhiye-अपने कम्यूटर या लैपटॉप में पासवर्ड कैसे लगाते है, जानिए
- Ek sabse bada reason yah bhi hai white color hone ka ki jab ham kisi or color ka paint karte hai to uska weight badh jata hai.jisse petrol jyada lagti hai.Or agar white color ka paint hota hai to petrol ki khapat kam hoti hai.Jisse company ko bhi labh hota hai.
Agar aapko hmare dwara di gayi jankari achhi lagi ho to comment karei.Or apne dosto ko share kariye.Hmare sath social media par bhi judiye.