Microsoft Word Pehli cheez hai jo aapko Computer me sikhna chahiye. Isme aap bahut saari baate, documents, word, aur bhi bahut saari cheezo ko sambhal ke rakh sakte hai. Aur dusre loago ko bhej bhi sakte hai. Iss Blog me Hum Aapko Microsoft Words Ke Saare features batayenge aur batayenge ke Microsoft Word Use Karne Ka Aasaan Aur Sahi Tarika kya hai.
Microsoft Word Use Karne Ka Aasaan Aur Sahi Tarika
Microsoft Word aapke Computer me hota hai. Aur baaki zaruri Software ke saath loag is bhi install kar dete hai. Pehle Toa Aapko apna Laptop, ya Computer kholna hoga (Switch On) karna hoga. Fir Usme Aapko Start Menu pe jaana hoga (Computer Khulte hi Sabse Left waala Button), fir All Programs me, Fir Microsoft Office me aur last me Microsoft Office Word 2003/ 200/ 2010 jo bhi aapne install kiya ho usme.
Aasaani ke liye mai fir se bata deta hu:
START – All Programs – Microsoft Office – Microsoft Office Word 2003/ 200/ 2010
Microsoft Word Use Kaise Kare
Ab Microsoft Office Aapke Computer ya Laptop me khul chuka hai. Wo Kuch neeche dikhaye gaye Picture Jaisa Dikhega.
Jo White Area hai beech me. Waha Aap kuch bhi likh sakte hai. Agar Aap Hindi me Type karna chahte hai, toa pehle aapke computer me Hindi Font ka install hona bahut zaruri hai. Fir use select karke Aap Hindi ya kisi bhi language me Type kar sakte hai.
Ye Bhi Padhe: Computer Me Hindi Language Font Dalne / Install Karne Ka Sahi Tarika
Likhne Ke Baad Enter dabane par dusra sentence shuru ho jaata hai.
Upar agar aap dekhenge toa bahut saare menu hai, yaani cheeze hai Microsoft word me. Jaise ki Home, Insert, Page Layout, References aur bhi bahut kuch. Har ek button ka koi na koi kaam hota hai.
Agar aap sahi me achche se sikhna chahte hai, toa ek ek kar ke saare buttons me jaye aur dekhe ke kya hota hai. Sahi Tarika toa sikhne ka yahi hai.
Kuch Microsoft Word Ke Shortcuts Jo Aapko aane chahiye
Microsoft Word me jub aap type karte hai kuch bhi. Toa use Save karna hota hai, edit karna hota hai. Kuch galti ho jaye toa use theek karna hota hai. In sab ke liye upar waale buttons (Jo Microsoft Word me hote hai) ko use karne se command mil jaata hai.
Saath hi unhi kaam ko karne ke kuch Shortcuts hai, jo aapko aane chahiye taaki aap juldi se kaam kar sako.
Ek saath 2 Keyboard Buttons ko dabana hoga. Sahi se kare toa aap bhi juld hi expert ban sakte hai.
DABAYE / PRESS KARE | Press Karne Se Dabane se Ye Cheeze Hongi |
CTRL + A | Select Command -. Isse Microsoft Word me likhi saari cheeze select ho jaati hai. |
CTRL + C | Copy Command – Isse Microsoft Word me Select Ki hui, saari cheeze Copy Ho Jaati hai. |
CTRL + V | Paste Command – Isse Microsoft Word me Select Ki Hui, saari cheeze Paste ho jaati hai. |
CTRL + Z | Undo Command – Isse Microsoft Word me last ki hui Acivity ya kaam, wapas aa jata hai. |
DELETE | Delete Command – Isse Microsoft Word me Right se ek ek karke saare word delete hote jaate hai. |
RIGHT ARROW / LEFT ARROW | Isse Microsoft Word me Ek ek karke aapka cursor right ya left hote rehta hai. |
CTRL + RIGHT / LEFT ARROW | Isse Microsoft Me Pure complete word ke baad aapka cursor right ya left pahuch jaata hai. |
SHIFT + RIGHT / LEFT ARROW | Isse Microsoft Word me Word Highlight hone lagte hai. Jis direction me arrow dabao, usi direction me. |
SPACEBAR | Ise dabane se word ya sentence ke beech me space aata hai. Jitni baar dabayenge utna space aayega. |
CTRL + S | Save Command – Isse Microsoft Word save ho jaata hai. Pehli baar kisi document me karenge toa aapse computer poochega ke kaha save karna hai aur kis naam se. Fir Save Ho jaata hai. |
SHIFT + ALT + T | Current Time Command: Isse Microsoft Word Me Abhi Just ka Current Time Paste hoke aa jaata hai. |
SHIFT + ALT + D | Current Date Command: Isse Microsoft Word Me Aaj ka Current Date Paste hoke aa jaata hai. |
F12 | Save As Command: Isse Save As waala Menu aa jaata hai, jisse Microsoft Word ko aap kisi bhi File Type me save kar sakte hai. |
CTRL + END | Isse Aap Microsoft ke last line me chale jaate hai. Sabse Last me. |
CTRL + Home | Isse Aap Microsoft me sabse upar chale jaate hai. Aapka cursor upar aa jaata hai. |
Aur bhi bahut saare commands hai, agar aap sikhna chahe toa Microsoft ke website me iski puri list hai. Aap khud hi dekh sakte hai.
Windows keyboard shortcuts overview
Ye Bhi Padhe:
Computer Me Powerpoint Pe Presentation Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika
Kisi bhi Computer ki speed badhane ka sahi tarika
Ab aapko basic commands ki achchi knowledge ho chuki hai. Thoda sa advance janne ke liye neeche diya hua blog link pe click karke padhe:
Microsoft Word Online Sikhe | Basic Commands | Photo Ke Saath
Umeed Karta hu ke aapne aaj kuch accha hi sikha. Agar koi bhi dikkat aaye Microsoft Word use karne me toa hume comment karke bataye. Hum Koshis karenge ke aapki sahayta kar sake.
Agar ye Blog padh ke achcha laga toa ise share kare aur apne dosto ko bhi sikhaye.