Mobile Application loag sirf paisa kamane ke liye banate hai. Aise toa lakho free mobile application available hai. Magar har ek mobile Application ka maksad paisa kamana hi hota. Bahut se sahi tarike hai Mobile Apps ko bana ke paisa kamane ke. Iss blog me hum aapko batayenge ke Mobile Application Bana Kar Paisa Kamane ka Aasaan Aur Sahi Tarika kya hai.
Mobile Application Bana Kar Paisa Kamane ka Aasaan Aur Sahi Tarika neeche bataya gaya hai.
Jis tarike se mobile phone humare zindagi ka ek ahem hissa ban chuka hai. Usi Tarah Mobile Application bhi bahut si zarurat me kaam aata hai. Loag bahut hi achi aur kaam ki Mobile Application bana rahe hai. Jo loago ke roz ki zindagi me kaam aata hai. Subah Uthne ka Alarm se lekar. Kisi bhi cheez ka jo aap soch sakte hai uska Mobile Application available hai.
Wahi App loag jada pasand karte hai, jinse unka koi problem duur hota ho aur wo App unke bahut kaam aaye. Jaise ki ek Mobile Application hai “The Crazy Alarm”. Ye un loago ke liye banayi gayi hai jo subah uth nahi paate aur galti se snooze button ko daba ke Alarm ko band ya extend kar dete hai. Magar ye Alarm aapko sone nahi dega jub tak aap puri tarah se uth na jaye.
Aap “The Crazy Alarm” ko Free me Yaha se Download kar sakte hai.
DOWNLOAD THE CRAZY ALARM FREE MOBILE APP
Ab aap samjh gaye honge ke Mobile App kya hai. Kuch tarike hai Mobile Application Bana Kar Paisa Kamane ke jo hum apko ab batate hai.
Neeche diye gaye teen tariko se aap Mobile Application Bana kar Paisa Kama Sakte hai.
FREE MOBILE APPLICATION
Jadatar Mobile Application Free hoti hai. Aap isko Free me download karke use kar sakte hai. In mobile Application me Kabhi kabhi full page ka (jo pure screen me aa jata hai). Ya chota sa neeche Ad ka banner laga hota hai. Isi Ad se Mobile Application Paisa kamati hai. Bahut Jada Ad lagane se loag uss App ko un-install kar dete hai. Toa hume iss baat ka bhi khayal rakhna chahiye ki Ad kitna lagaye taaki users ko pareshani na ho.
IN APP PURCHASES
Bahut se features Mobile App me free hote hai. Lekin Kuch function ya features hote hai jise paane ke liye aapko purchase karna hota hai. Ise hi In App Purchase kaha jaata hai. Yaani App ke andar hi koi feature khareedneke liye jada paisa dena pade toa. Jaise ki Candy Crush game ya aur bhi koi Game me Coin ya Gold khatam hone pe aap aur jada coin ya gold khareed sakte hai. Jiske liye aapko Paisa dena hoga. Isstarike se Mobile App kamate hai.
PAID MOBILE APPLICATION
Kuch Mobile Application shuru se hi paid hote hai. Yaani unko install karne ke liye aapko paisa dena hota hai. 10 Rs se lekar 1000 rs tak kuch bhi charge ho sakta hai. Isme bina paise diye aap App ko use nahi kar sakte. Jo mobile application kuch premium services dete hai wo paid hote hai. Aajkal Paid Mobile Application me bhi In App purchase hota hai. Jisse wo Application aur jada kama sakte hai.
5 Tips जो के आपके Android phone को बचा सकती है और लम्बी उम्र दे सकती है
Yahi Teen Tarike hai Jinse Mobile Application Bana Kar Loag kama sakte hai. Mobile Application teen Language me hota hai. Android, Java aur IOS.
Sabka ek Play Store hai, jaha pe bahut saare Mobile Application ki list hai Jo Free Bhi hai aur Paid bhi. Aap chahe toa unhe dekh sakte hai aur bahut si achchi mobile Application ko install kar sakte hai.
Jinka Android Phone hai, unke liye Play Store ka Link neeche diya hua jai.
Jinka Apple phone hai, unke liye App store dusra hai. Wo neeche diye gaye link pe click kar sakte hai.
Jo Loag Nokia ka phone use karte hai, ya Java mobile use karte hai, wo liye neeche diye gaye link pe click kare
Umeed karta hu ke aapko ye jaankari Sahi lagi hogi aur aapko samjah me aaya hoga ke Mobile Application Bana Kar Paisa Kamane ka Aasaan Aur Sahi Tarika kya hai. Aap bhi chahe toa apna Mobile Application Banwa ya Bana sakte hai Aur Paisa kama sakte hai.
नीचे दिए गए वीडियो से आप सिख सकते है अपने मोबाइल के इंटरनल स्टोरेज को बढ़ाना
Agar aapko ye Blog padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.
Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.