Bharat mein vimudrikaran(demonitisation) hue kuch mahine hi hue hain. Purane notes (1000 and 500 notes) ko hata kar unki jagah naye note laye gaye. Black money ko khatm karne ke liye humare pradhan mantri ne ye kadam uthaya. Bohot mushkilon ka samna karna pada lekin ye humare bhalai ke liye hi hua. 8 november 2016 ko humare pradhan mantri ne black money ko hatane ke liye bohot bada step uthaya.
Purane notes ko to hum achhe se pehchante hain lekin new note ke baare mein to hum kuch nai jante. humari mehnat ki kamai ke badle agar koi nakli note dede to wo sahi nahi hota.Hume kaise pata chalega ki new 2000 aur 500 mein asli nakali kaun sa hai. To aiye mai aapko aaj 2000 aur 500 ke new note mein asli note pehchanna sikhata hoon.
To aaiye aaj sikhte hain 2000 aur 500 ke asli note kaise pehchane
500 ke note ki pehchan
1. Naye note ki size 63 mm* 150 mm hai jo ki purane note se chhoti hai.
2. right se mein upar aur left side mein niche serial number choote se bada hota dikhai dega.
3. 500 ke note par kayi jagah denomination number dikhai dega.
4. note ka colour stain grey hota hai.
5. note mein samne ki taraf gandhi ji aur ashok stambh hai aur pichhli side laal kila.
6. note mein samne ki taraf dekhenge to right side se start krne par 500 likha dikhega aur usme denomination number dikhega.
7. note ko samne ki taraf dekhne par mahatma gandhi ke left side ek green colour line dikhegi.
8. note ke left side 500 likha hota hai aur iske upar electrotype water mark ke potrait hain.
9. ise niche jhukane pa ye neela ho jata hai.
10. stambh ke upar chhota sa 500 likha hota hi.
11. left side 500 likha hai aur ise jhukane par green colour dikhte hain.
12. iske niche 6 zero hain aur unka size increasing dikhta hai.
13. left side ashok stambh hai.
14. note ke ekdum sidhe taraf 5 chhoti line hai.
2000 ke note ki pehchan
1. 2000 ke note ki size 66mm*166mm hai.
2. note ke ekdum right side dekhenge to 2000 likha hoga aur sme denomination number hai.
3. note ke centre mei mahatma gandhi ki photo hai.
4. aage ki taraf mahtma gandhi ke right side green colour ki line hogi. isko niche ki taraf jhukane par blue ho jata hai.
5. samne ki taraf se agar dekhen to note ki left side ashok stambh ai uske upar chhota sa 2000 likha hai.
6. note ke left side safed(white) jagah par 2000 ka water mark hai.
7. uske niche 2000 likha hai jo jhukane pe rang badlta hai.
8. iske niche 0 hai jo bada hota jata hai.
9. note ko pichhe se dekhe to right side par 2000 likha hai aur note jaari(issue) karne ki year likhi hai.
10. note ki right side swachh bharat ka logo aur slogan hai.
11. note ke centre mein language panel hai.
12. note ke right side magalyaan( mars spacecraft) ki tasvir hogi.
13. note ke right side serial number bada hota jata hai.
Ye thi wo saari jankaari jo aapko ek naye note ki pehchan karne mein madad kregi. pehle aap bhi ye soch rahe honge ki naya note to aa gaya magar iski pehcan kaise hogi ki ye asli hai ya nakli kyunki note koi sa bhi ho, uska nakli aane mein der nahi lagti. ab aap aaram se aap naye note ko pehchan sakte hain. agar aapke paas bhi koi aisi jankaari hui to comment karein aur agar aapko ye saari baatein important lagi to kisi apne se share karein.