Nhi Dena Hoga Kisi Bhi Toll Plaza Pe Toll 2 Saal tak

Kya ap bhi toll dene kelea line me lgker thak gaye hai, khi jaldi jana ho aur toll ke jam ke chakker me phas ker reh gae hai, to ye khabar apke lea bhut khushi ki hai.

Road Transport and Highways mantry Sri Nitin Gadkari ne ye kha hai ke agle do saal tak kisi bhi national highway pe apko toll nhi dena hoga. Sari vahan bina toll dea tezi se toll plaza ko cross ker sakti hai. Iska matlab ye hai ke apko na to toll plaza pe slow hona hai na hi rukna hai, ap bina kisi rok tok ke nikal sakte hai.

Ab ap soch rhe honge ke hum to bina toll ke nikal jaenge lekin jo jam lagta hai vo zada tar bhari vahano ki vajah se lagta hai. Halanki unke lea abhi kisi tarah ki chuut ki ghoshna nhi ki gae hai lekin, Sri Nitin Gadkari ne saf taur pe kha hai ke chahea chote vahan ho ya bade, toll plaza pe koe bhi dhima ya rukega nhi. To sawal ye hai ke badi vahan ka toll kyse katega?

GPS Ke Dhwara Ktega Badi vahno ka toll

Jitni bhi bhadi vahan hai ya maal vahan hai unka chalan GPS ke dwara direct kat lea jaega. GPS technology ke dhwara vahan kitna chala hai uske anusar uska toll apne ap kat jaega. Aj kal jitni bhi nhi gadiya arhi hai un sabhi me GPS technology agae hai. Ap jha bhi jate hai ya jis location me bhi hai use asani se trach kea jasakta hai. Safety ke hisab se ye thoda risky zaruur hai lekin Government abhi isi technology ke sahare jo hum aam dino me jam me phasne ki pareshaniya jhel rhe hai, usse hume azad krane ki taraf badh rhi hai

Jitne bhi toll plaza hai unsabhi ko Fastags aur RFID technology se purn kiya jaega. Jiski madad se GPS tracking ho sake. Ye bad Sri Nitin Gadkari ne Thursday ko Assocham conference me khi.

Ummed kerta hu ye zankari apko achi lagi hogi. Hume comment section me zaruur batae ke kya ap in toll plaza me kbhi kisi emergency me phase hai kya?

Leave a Reply