Online Transaction Karte Samay In Baaton Par Jaroor De Dhyan

Sri Devi

Image Source: The News Minute

Jesa ki aap sabhi jante hain ki aaj ke samay me online transaction ek jaroori kaam bn gya hai. Par Aapne ye bhi dekha hoga ki isme kafi risk bhi hai. Jaise Hacking, ATM Frauds, DebitCredit Card Frauds aur aise hi any bhi. Jante hain inse bachne ke liye kya kare:

Kabhi Bhi Cyber Cafe Se Online Transaction Na Kare

Cyber Cafe me jakr online transaction na kare qki waha ke pc shared hote hain aur wi-fi shared hota hai. Jaha se Aapki information aasani se churaayi ja sakti hai.

Koshish Kare Ki Apne PC Se Hi Transaction Kare

Apne ghar ke PC ka hi use kare aur isme data ki security rahegi. System ke firewall aur antivirus aapka data safe rakhne me aapki madad karenge. Samay-Samay par apne PC ke operating system ko update karte rahein.

Apne Password Ko Kabhi Aise Na Banaaye

Apne Transaction Password ko strong banaayein. Jab Password choose kare tab kabhi bhi usme mobile no., date of birth, birthday date aur month, ya anniversary date, ya phir apne kisi njdeeki ka naam na rakhe. Inhe Aasani se koi bhi guess kar sakta hai.

Aise Emails Se Saavdhan Rahe Jo Aapka Aadhar Number Ya PAN Number Poochte Hain

Aadhar aur PAN Card Number maangne wale Emails se bache. Kyuki RBI aapse kabhi bhi aapki confidential information nahi maangegi.

Agar aap apni khud ki website banana chahte hai. Toa Domain aur Server Sabse Sasta Yaha se Le. (Hostinger)

Unknown Person Ki Send Ki Hui Link Par Click Na Kare

Aisi Links jinke baare me aapko jaankari nahi hai aur kisi aise vyakti dwara bheji gayi hai jispr aapko vishwaas nahi hai ya unknown hai, par click na karein.

Apna Password Kisi Se Share Na Kare

Apna Bank Password Kisi Ke Sath Share Na kare. Apne Kisi Relaive, Nazdeeki Dost ya Aur Kisi ke sath bhi apna password share na kare. Aisa Karne se aapki details aur logo tk pahuchne ka khatra bana rhta hai.

Hamesha SSL Link Check Kare

SSL(Secure Socket Layer) ko hamesha check kare. SSL ka matlab hai jab aap transaction kar rahe ho tab url pr https ko jaroor dekhe. http ke peeche likha hua ‘s’ yah darshaata hai ki yah transaction secure hai. Aisa hi online shopping karte samay bhi dekhe.

Kisi Prakaar Ke Unauthorized Use Ke Bare Me Bank Ko Jald Se Jald Bataayein

Agar Aapke paas kisi prakaar ka unauthorized access ka notification aata hai. Ya Aapko Kaise bhi iski jaankari milti hai to apne bank se jald se jald jaroor sampark karein.

Transaction Ke Dauraan Upar Likhi Sabhi Baaton Par Vishesh Gaur De Anytha Museebat Me Padh Sakte Hain. Aisi Hi Any Jaankari Ke Liye Hamaare Sath Jude Rahein.

 

Leave a Reply