Government ke 500/- aur 1000/- ke note band karne par loago ko paise ko lekar bahut dikkat ho rahi hai. Pan card bhartiye nagrik ke liye bohat hi jaruri document(दस्तावेज) hai. Sahitarika ka ye article apko bataega Pan Card Banane Ka Sahi Or Asaan Tarika.
Pan card kya hai ?
Aajkal 50000/- se jyada paise bank account se nikalte samay pan card ki bohat jyada jarurat pad sakti hai. Pan card ek esa document (दस्तावेज) hai jisse aapka income tax yani ki आयकर kuch percent kam ho sakta hai.
PAN CARD ek bahut mahatpurna docuement hota hai kisi bhi vyakti ke liye. Yadi ye kho jaye to ye kisi ke liye bhi musibat ban sakta hai. Jaise is dastavej ko koi apke naam se parichaye patra ki tarah istemal kar sakta hai. Jo kisi bhi apraadh me lipt ho sakta hai.
Isliye ye jaruri hai ki is dastavej ko theek se rakhna chahiye verna iske kho jane par sari jimmedhari apki hogi. Aise bahut mamle saamne aaye hai jisme kisi dosre ke PAN CARD ko parichaye patra banakar kayi apradh kiye gaye hai.
Ye bhi padhe: Aadhar Card Ke Liye Apply Karne Ka Sahi Aur Asaan Tarika
Aaiye Apko Bataye Iske Kho Jane Par Kya Karein ?
- Sabse pahle iske kho jane par iski FIR karaye. Apne pass ke Police Station (थाने) me report darj karayein. Aur iski ek copy apne paas rakhe jaisa ki aap sim ya mobile khone par karte hai.
- Apne PAN CARD ki khone ki jankari apne bank ko likhkar dein. Aur iski ek copy apne pas rakhe saboot ke tor par.
- Uske baad ek naye Pan Card ke liye application(आवेदन) de.
- Naye PAN CARD ki application dete samay apne purane PAN CARD ke number Ka prayog kare. Yadi waha yaad nahi hai to PAN CARD se sambandit vibhag se ye jaankari le aur phir naye PAN CARD ko avaden karein
- Naye PAN CARD ka form PAN CARD vibhag se prapt kar sakte hai ya isse ONLINE bhi bhar sakte hai.
- Is baat ka dyan rakhe ki aye PAN CARD ko avadan karte vakt apne khoye PAN CARD ki FIR copy jarur lagaye.
- 25-30 dino ke andar me naya PAN CARD aap tak pahuch jaega .
Yeh bhi padhe: Adhaar Card ke Online Copy Nikalne Ka Sahi Tarika
Tou is tarah aap sabhi apne PAN CARD ke kho jane par apne aap ko surakshit rakh sakte hai. Thoda sa dyan dene par aap kisi musibat se bach sakte hai.
Aashan karte hai Sahi Tarika ka Articel Pan Card Ke Kho Jane Par Kya Karen apke liye bohat helpfull (मददगार) sabit hoga. Aur jankariyo ke liye jude rahye bharat ki ek matr hindi blog website SahiTarika se.