I-Phone Ka Lock Kaise Khole

I phone ka lock kaise khole

I phone ka craze pure duniya me chaaya ha hai,sab ka shauk ban chuka hai iphone ,aur bane bh kyu na,jab phone he etna acha hai.Aur apple ke phones is lea bhi bahot mashur hai kyuki iska jo security system hai wo bahot tagda hai. is blog ke dwara mai aako ye bataunga ke aapke phone me agar lock lag gya ho ya aapke

phone ka lock easily nhi khul paa raha hai ,to Iphone ka lock kaise khole.

In tariko ko follow kare

  • Apne phone ko apne computer ya laptop se sync karo.aap ye tab bhi kar sakte ho jab aapka iphone lock hai.isse actually aapke files ke backup bn jaate hai.Ye behtar jab kaam karega jab aapne apne iphone ko us computer se connect kara ho jisse ke aap regularly sync karte ho.

 

  • Apne phone ko computer se connect karne ke baad usko reboot kar de,reboot karne ke lea power button aur home buttons ko ek sath press kare. jaise he apple logo dikhta hai to aap power button ko chor de par home button ko dabaye rakhe.,aur jab aapko 'Connect to itunes' dike to home button bhi chor de.

 

  • Aapko apne computer par ek message dikhega jisme ke likha hoga ke "phone in recovery mode detected". Aapse fir pucha jaega ke aap apne phone ke  setting ko backup se restore karna hai ya factory setting se. Agar aap chahte ho ke aapke purane messages,songs,movies yaa aur bhi kuch dekhna chahte hain,jo ke aapne pehle se save kra  tha, to aap restore from backup option choose kare

 

  • Aesa karne se aapke saare passcode erase ho jaenge aur aapke data sare restore ho jaenge,aur fir aap apne iphone ko avhe se use kar paoge bina problems ke.

Aasha karta hun ke aapko is blog se faida hua hoga,aur aapko ham bata pae ke aap i phone ka lock kaise kholte ho.Kuch bhi aur jaankari e lea aap comment kar sakte ho. Thanks Stay Connected

One thought on “I-Phone Ka Lock Kaise Khole

  1. Jitu meena says:

    IPhone ka lock lag Gaya usko unlock kaise karen

Leave a Reply