Phulgobhi Ko Store Karne Ki Widhi

Phulgobhi Ko Store Karne Ki Widhi

Garmiyon me din ke sabji bahut mehenge hote hain. Aur sabhi sabji milti bhi nahi hain aur khane me kuch swadisht khana khaane ki ikcha hoti hain phulgobhi joh hamaare mukhya sabjiyon me se ek hain ise agar hum store karke rakh sakte hain taaje sabjiyon ka luft utha sakte hain phul gibhi ke pakode bhi bana sakte hain phul gobhi ek aisi sabji hain jise lagbhag sabhi log pasand karte hain.

Phul gobhi ko hum varshon tak store kar sakte hain aisa karne ke liye hum is widhi ka istamal karenge.

  • Phul Gobhi– 2kg bajar se le aaye yah taaja hona chahiye.phulgobhi ko kaat kar paani se dho kar saaf kar lenge. Aab hum is ek baartan me paani daal kar ubal lenge paani utna hi lenge jitney me saare phul gobhi dab jaaye. Ubalte paani me kate hue phulgobhi daal denge aur 5 minute tak ubalenge.
  • Jab yah ubal jayega toh ise paani se nikal lenge dwani ke madat se.
  • Nikalne ke baad ise ek kaapda me nikal lenge aur hawa me sukha lenge jab paani puri tarah sukh jaaye  toh hum is phulgobhi ko zip wale poly bag usme daal kar rakh denge au rise freezer me daal denge.
  • Is phulgobhi ko kabhi bhi banana ho toh hum ise freezer me se nikal lenge aur ubalte hue garam paani me 5 minute ke liye daal denge. Ubalne ke baad yeh taaja aur pehle jaisa ho jayega ab hum ise sabjiyon ya pakode banane me istamal kar sakte hain.

Iske sabji bahut hi swadisht bante hain is phulgobhi ki sabji alag hi swad me banegi . is tarah hum store kiye phul gobhi ko kai tarah se istamal kar sakte hain. Yadi isme se ek bhi step chut jaata hai toh yah gobhi saad jayegi.

Leave a Reply