Physical Education Ka Humari Zindagi Me Kya Role Hai

Physical education sirf hume physically fit nhi rakhta balki hume mentally and emotionally bhi fiy rakhta hai. Physical Education Ka Humari Zindagi Me Kya Role Hai. Physical Education humari life ka bhut hi important part hai. Aksar hum Physical Education ko baki subject ki tulna kam aankte hai aur baki subject pe zada dhyan dete hai. Lekin physical education humari zindaki ka sabse important part hai.

Physical Activity Kyu Important Hai

  1. Achi sehat banata hai aut use maintain rakhta hai
  2. Bimariyon se humari hifazat kerta hai
  3. Humari mansik aur sharirik shakti ko badhata hai
  4. Concentration badhata hai
  5. Self-esteem banata hai

Health Triangle

Emotional Domain (Cognitive Domain)

  1. Concentration me madad kerti hai
  2. Thinking ability ko strong kerti hai
  3. Decision making me help kerti hai
  4. Observation kerne ki chamta ko badhati hai
  5. Strategy design kerne me madad kerti hai

Social Domain (Affective Domain)

  1. Apne values ko samjhne me madad kerta hai
  2. Apne interest ko janne me madad kerta hai
  3. Kisi ko appriciate kerne me madad kerta hai
  4. Sahi judgement lene me madad kert hai
  5. Sahi attitude ke sath life jine me madad kerta hai

Physical Domain (Psychomotor Domain)

  1. Fine Motor Skill
  2. Gross Motor Skill

Fine Motor Skill

Fine motor skill apki vo ability hoti hai jo ap apni choti manspeshi ko use kerke kerte hai. Fine motor skill bhut hi zada precision ya control ke sath kerne ki chamta hai. Jyse ki pen hold kerna, piano bajana ityadi

Gross Motor Skill

Gross motor skill vo ability hai jo ap apne bade muscles ke istemal ke sath karte ho. Jitni bhi physical activities hoti hai vo zada tar gross motor skills me aati hai. jaise ki running, jumping, walking ityadi

Physical Activity Ko Konse Factors Affect Kerte Hai

  1. Age (Umr)
  2. Gender (Ling)
  3. Body composition (Shareer kee sanrachana)
  4. Nutrition (Poshan)
  5. Lifestyle habits (Jeevanashailee kee aadaten)
  6. Physical Activity ( Shaareerik gatividhi)

Society Kayse Influence kerti hai Physical Activities Ko

Har society ka apna norms hota hai apna culture hota hai environment hota hai. Ye sari cheezen kyse humari physical activity ko ya yun khaen sports ko parabhavit kerte hai.

  1. Environment: Environment bhut hi important role play kerta hai influence kerne me. Manlejea ap Kerala me hai jha charo taraf pani hai to vha ke log water sports khelna zada pasand kerte hai. Aur agar ap Uttrakhand me hai to vha Tracking ke shauk rakhne vale hai.
  2. Economy: Economy bhi bhut hi important factor hai. Agar jis society me hum hai vo financially utni strong nhi hai to humara choice of sports bhi use ke hisab se hoga. Aisi society me Kho-Kho, Kabaddi jyse game zada khele jate hai jisme kisi saamagri ki zaruurat nhi padti
  3. Technology: Technology bhi bhut important role play kerta hai jab kisi athlete ko apna performance improve kerna hoto technology usme bhut umda role play kerti hai. Hockey Bharat ka national game hai lekin Germany aur France jysi contry humse behtar hai iski sabse badi vajah technologu hai
  4. Political: Political factor bhi bhut zaruuri hota hai. Ap haryana me dekhenge ki agar koe World tournament me medal leker aata hai to use kitne sare inam milte hai. Isse khilari protsahit hote hai. Vhi Kashmir me aisa situation hai ki log zinda rehne ko kisi bhi sports se behtar mante hai.

Must Read: शारीरिक शिक्षा का मुल्ये और प्रयोजन

Leave a Reply