Rashan Card Dharako Ke Liye Aayi Jaruri Khabar Jaldi Pata Kariye-

Agar aap bhi Rashan card dharak hai. To aapke liye yah jaruri khabar hai.Aur is khabaar ke baare me aapko janana bahut jaruri hai.Jee haan aapki Rashan ki dukaan me bahut bada badlaav hone jaa raha hai.

Ise Bhi Padhiye- धान की खेती कैसे करनी चाहिए

  • State me 1 april se rashan ka vitaran Online kiye jaane ki khabar aayi hai.Aur kis Rashan dealar ko kitna Rashan vitarat karna hoga. Yah RFC karyalay se Online hi fix kiya jayega. Aur iske liye sabhi khadhya ke Godamau me computer lgaye ja rahe hai. Khadh Vibhag ke sabhi Godamo ko computerikrat kiya jayga.
  • Aur rashan ki sabhi dukano par Point Of Sell Machine ki suvidha ki ja rahi hai.Aur is position me Vibhag ko ek click par Rashan ke baare me jankari prapt hogi. Ki kis rashan dealar ko kitna rashan diya gaya hai.Aur usne Card dharako ko kitna Rashan vitarit kiya hai.Hmare pradesh me rashan ki kam se kam 9200 shopes hai.Aur in dukano ko Chawal, Gahu ka vitaran Rashan card ki Counting ke hisab se Distic ke Godamo se kiya jata hai.

Ise Bhi Padhiye- आखिर किस वजह से हमारे शरीर में नीले निशान पड़ जाते है जानिए कारण-

  • Ab tak Rashan vitarian ki sabhi jankari Adhikari apne Distic ke Sambhagiy Khadhya Adhikari RFC ko dete hai.Aur RFC apne distic stariy Godamo se dealaro ka Kota jari rakhne ka nirdesh bhi karte hai.Lekin ab is cheej ki puri prakriya Online kar di gayi hai.Jila purti adhikari apne jile ke Monthly vitaran ki jankari RFC ko online diya karenge.RFC bhi ab sabhi godam walo ko rashan bantane ka nirdesh ab online hi jaari karenge.
  • Iske liye ab pradesh me Khadhya or aapurti vibhag ke sabhi godamo me computer lagaye ja rahe hai. Or Rashan ki sabhi dukano ko bhi Online kiya ja raha hai.Pradesh Government rashan ki sabhi dukano ko Common service center ke roop me vikasit karane ki anumati pahle hi de chuki hai.
  • Ab vibhag ke paas sari information hua karegi Ki kis Rashan dealar ko kitna Rashan dia gaya hai. Aur usne Card dharako ko kitna rashan vitarit kiya hai.Iski madad se ab rashan ko lekar KalaBazari ki samsya khatm ho sakti hai.Lekin ab baat yah aati hai. Ki kayi jagaho par connectivity ki bhi samsya aati hai. To us samsya ka bhi samadhan kiya jayega.

Ise Bhi Padhiye- अपने रिश्तों को मजबूत और बेहतर कैसे बनायें – पढ़िए

Agar aap hmari jaankari se sahmat hai to aap is article ko dusro me share kar unko bhi is jaankari se avagat karayei. Or ise jyada se jyada share kare.

Leave a Reply