Agar aap sahi tarike se Tulsi Ki Kheti karenge to sirf 3 mahino ke andar aap lakhpati ban sakte hai. Tulsi ki kheti me lagat kam lagti hai, mehnat bhi kam karni padti hai aur munafa bahut hota hai. Iss article me humaapko batayenge ke Sahi aur aasaan Tarika Tulsi Ki Kheti Karne ka kya hai.
Sahi aur aasaan Tarika Tulsi Ki Kheti Karne ke liye neeche likhe article ko padhe
Tulsi aam taur par gharo ke aangan me dikhai deti hai. Bahut se kaaran hai iske, isme anek gun hote hai. Ab yahi gun Tulsi ke kisaano ko ameer bana rahi hai.
Tulsi ki kheti karne ke liye sirf 10 bigha zameen, 15 hazaar rupaye ki lagat aur 3 mahino ki mehnat chahiye. Aur ye 3 lakh tak ka munafa de sakta hai.
Jadatar fasle jada baarish me kharab ho jaati hai, magar tulsi ki kheti me jada barish se bhi bahut nuksaan nahi hota hai.
Tulsi Kai Bimariyo ka Ilaaz bhi hai
- Tulsi ek tarah ki dawai hai.
- Rozana sewan se bimariyo ko ladne ki shakti aati hai.
- Shahad (Honey) ke saath khane se Kidney ki Pathri ka bhi ilaaz ho jaata hai.
- Cholesterol ko Tulsi kaabu me karti hai.
- Tulsi ke patto ka ras peene se Dil ki lagbhag saari bimariyo ka ilaaz hota hai
- Swine Flu jaisi bimari ka bhi ilaaz Tulsi se ho jaata hai
Ab aapko pata chal chuka hoga ke Tulsi ki kheti me kitna fayeda hai. Ab aapko batate hai ke Tulsi ki Kheti aap kaise kar sakte hai.
Aise Tulsi ka patta 25 Rs se lekar 30 Rs tak ka bikta hai, magar sardiyo me iski Keemat badh kar bahut jada ho jaati hai. Aap isko 100 Rs tak bech sakte hai.
Bhumi / Zameen ka chayan
Tulsi ki kheti aap kisi bhi achchi zameen par kar sakte hai. Sabse pehle aapko zameen ko ache se khodna chahiye. Mitti ko ache se barabar kar le. Fir isme Gobar mila de, taaki upaz achchi ho. Isme agar upar se Phosphorus or Potash ka khaad mila de toa zameen jada upjau ho jayegi.
Mausam
Waise toa Tulsi ki kheti kisi bhi mausam me ho sakta hai. Magar Garmi me iski kheti achche se hoti hai aur fasal achchi hoto hai. Sardiyo e bhale hi ye mehenga bikta ho, magar iski upaj bhi kam hoti hai sardiyo me.
Ropne ka sahi Tarika
Ek paudhe/ ya ped ko dusre se kareeb 1.5 ft ki duuri pe lagana chahiye, taaki fasal achchi ho. Kabhi kabhi iske jado ke aas paas safai aur thodi si khudai bhi karni chhiye taake paudha juldi badhe.
Khaad
Phosphorus or Potash ka khaad se iska kaam chal jaata hai. Magar sabse jada zaruri Cow ka gobad hai. Ye khaad sabse jada upjau maana jaata hai.
Paudha kaatne ka tarika
Agar sahi ke kheti ki jaye toa paudha ek mahine me hi katne layak ho jaata hai. Isko 5 se 6 inch tak ki katai ki jaa sakti hai.
Bimari se bachao
Waise toa Tulsi ke ped ko jada bimari nahi lagti magar dhand ke mausam me iska khayal rakhna bahut zaruri hai. Dhand ke mausam me iska Dayethem M 45 khaad dawa se Chchidkao karna chahye. Taaki bimari na ho.
Agar aap sahi tarike se Tulsi ki kheti kare toa munafa lakho me hoga aur kharcha bahut kam karna hoga.
Agar aapko ye article padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.
Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.