Beete dinon kai badi companiyan ke shahad mein milawat per CSI ki report mein khalbali macha diye. Buniyadi sawal keval shaehad mein milawat ka nahin hai balki isase jyada hai. Sawal bhavishya ke khadya padarth ke karobaar ki prakriti ka hai
Is blog me hum baat karenge centre for science and environment ki padtal shahad ya isme ho rahi milawat ko lekar nahin hai. Ye padtaal bhavishya ke khadya padarth ke karobar ki prakriti ko lekar hai.
Kyunki prakriti mein maujud jivan hamari khad vyavastha ki utpadakta ke liye bahut jaruri hai aur jo jeev Shayad banate hain ve hamari sehat sudharte hain
Ye baten ham jante to hain lekin iski andekhi kar rahe hain ki prakriti ka yah uphar ham kitni jaldi kho sakte hain. Hamen samajhna chahie ki Shahad kisi anya khadya ki tarah nahin hai.
Iska istemal health supplement ke taur per kiya jata hai. Ismein chini milakar hamare swasthya ke liye ise sachmuch hanikarak banana hai. Isliye humen davab banaye rakhna chahie taki prakriti ke is uphar mein milawat na ho
Chinta ka aik sira madhumakhiyan se bhi juda hua hai. Harbinger prajati ke keet humari khadya vavashtha ke savasthyabki taraf sanket deta hai.
Hum jante Hain ki na madhumakkhiyon ke kisi bhi khad ka utpadan nahin hoga, samjha jata hai ki phul dene wale 90 pratishat paudhon ko paraagan ke liye mad madhumakkhiyon ki jarurat padati hai.
Iske alava madhumakhiya sanket prajati hai jo mein batati hai ki ham apne khadan aur parivartan ko kis tarah jahreela banaa rahe hain.
America Pehle Hi Pass Ker Chuka Hai Kanoon
Ye hume zehrile tatvo aur kitnashkon ke atyadhik istamal ke prati aagah karti hai . Aaj bade pemane per madhumakkhiyon colony ko khatm hone ke piche Niyonic kitnashak jimmedar hai Niyonic aisa zahar hai jo ki tantrika kosh per hamla karta hai .
America ke sansad mein madhumakkhiyon ke sanrakshan ke liye kanoon pesh ho chuka hai .Isi sal America ki environmental protection agency ne 12 tarah ke Niyonics utpadan ko pratibandhit kar diya hai lekin dusre zehreelay tatvon ka istemal abhi jari hai
Paryavaran me zeharile tatvon ki vajah se madhumakkhiyon ko paalne wale ki vyavastha ghata ho raha hai, jisse ve apni dukaan band kar rahe hain. Iske liye humen chintit hona chahie kyunki aadhunik madhumakkhi palan sirf hamare lea bhojan tak hi simit nahin hai,balki ek audyogik star ki gatividhiyan hai.
Jise hum per vimarsh karne ki jarurat hai .Madhumakkhi se Jude jaiv vividhta bhi ek mudda hai. Dunyabhar mein jaiv vividhta sanrakshan ka sirmour European Sangh apne yahan ke shehad ko Apis Melifera utpadit shahad ke roop mein paribhashit Karta hai.Dusre shabdo me kahe to European Sangh ne Jo Shayad bikhta hai us Shahad ka utpadan dusri koi bhi madhumakhiya nahin kar sakti hai .
Isi tarah Bharat mein Apis Serana (Bhartiye madhumakhi) ya Apis Dorsata (Pahadi madhumakhi) hai .Agar is madhumakkhiyon ke shahad ko alag nahin kiya ja sakta , In prajatiyon ko badhava nahin diya jata aur unki sankhya nahin badi to kya hoga?
Jyadatar mamla mein sheher prasanskrit hota hai, ye prakriya pathogen hatane aur lambe samae tak Shahad surakshit rakhne ke liye apply kea jaata hai. Is tarah ke prasankrit shahad ke liye Suraksha aur shuddhta mein mapdand taiyar kiye jaate hain.
Lekin kya asel shahad jo hai uske liye yah mapdan kam karte hain. Iske sath sawal utha hai ki kya duniya bhar mein lakhon log ki jaruraton ka pura karne ke liye ye apna utpadan badha sakte hain.
Buniyadi sawal keval Shahad mein milavat ka nahin hai balki isse jyada sawal bhavishya ka khadya padarthon ke karobar se juda hai