Adhiktar logo ka ye mat hai ki Kebab kewal non-veg food hota hai lekin hum apko aaj batate hai ki kebab jaisa lajij jaykidar khana veg bhi banaya ja sakta hai. Vegetable Kabab khane me baut swadist hota hai, aur bilkul Non- Veg Kabab ki tarah hi dikhta hai. Iss Blog me hum aapko batayenge ki Vegetable Kebab Banana Ka Sahi Tarika kya hai.
Neeche hum aapko batayenge ke Vegetable Kebab Banana Ka Sahi Tarika Kya Hai
Samagri Jo Vegetable Kebab Banane Ke Liye Chahiye:-
- Do cup bread crumbs
- Fry karne ke liye oil
Kebab banane ke liye:-
- 1 cup kati hue palak
- 1 cup kata hua pattagobhi
- 1 cup kata hue broccoli
- ½ cup dhaniya patta
- 2 hari mirch
- 2 tbsp kati hue taazi lehsun
- 1 cup matar ke dane
- 2 tsp adrak lehsun ka paste
- Namak swadanusar
Ye Bhi Padhe: Gobhi Musalam Banane Ka Tarika
Banene Ki Vidhi:-
Sare veggies ko achi tarah grind kar ke paste bana le. Uske baad mixture ko ek bowl mein daal kar achi tarah milaye. Phir usme thoda namak aur adrak- lehsun ka paste milaye. Sabhi mili hue samgri ko achi tarah mix kar le aur usme bread crumbs milaye.thada thoda portion leke gol banaye aur garam tel mein deep fry kare, ache se fry ho jane par bahar nikale aur aapka garma-garam kebab tyaar hai. Isse aap chutney ya phir sauce ke saath serve kare aur khilaye.
Green Chutney banane ke liye:-
Samagri:-
- 3-4Green chillies
- 3-4Garlic cloves
- Dhaniya patta
- 2-Tamater
- Namak
- Oil
Ye Bhi Padhe: Besan Ki Sabji Banane Ka Sahi Tarika
Banana ki vidhi:-
Sabhi samagri ko pani se dho ke grinder ya phir use sil par pees kar paste bana le. Namak swadanusar dal kar kissi bartan me nikal le.
Umeed karte hai ke aapne Vegetable Kebab Banana Ka Sahi Tarika seekh liya hai. Agar aap kuch poochna chahte hai toa humse comment me pooch sakte hai.