Video Banane Ke Liye Aapke Paas Photos Ka Collection Hona Jaroori Hai. Ya Aap Photos Download Bhi Kar Sakte Hain. Aaj Hm Aapko Bata Rahe Hain Ki Kaise Video Banaye Aur Kaise Usme Text Aur Music Add Kare. Jaanne Ke Liye Poora Padhein:
Kaise Banaye Video?
Video Banane Ke Liye Aapko Ek Video Ke Software Ki Aavashyakta Hai. Window Movie Maker Apne Laptop Ya PC Me Download Kar Lein. Iski Sahayata Se Aap Aasani Se Ek Badhiya Video Bana Sakte Hain.
Kaise Add Kare Photos?
Jab Aap Movie Maker Ko Open Karte Hain Tab Aapko Add Photos/Videos Ka Option Screen Ke Bich Me Dikhayi Dega Aap Waha Se Photos Add Kar Sakte Hain. Agar Aapko Ek Sath Kai Photos Add Karne Hain To Ctrl Button Ke Sath Pics Ko Select Kare Aur Yad Rakhe Ki Jab Sare Pics Choose Kar Le Tabhi Ctrl Button Par Se Hath Hataye.
Is Tarah Se Aapke Photos Add Ho Jayenge. Ab Isme Aap Us Photo Ki Timing Bhi Set Kar Sakte Hain Ki Aapko Photo Kitne seconds ke liye dekhna hai.
Kaise Kare Music Add?
Apne lagaye hue pics me aap music bhi add kar sakte hain. Jaroori nahi hai aap isme sirf ek hi music add kare aap isme multiple music bhi add kar sakte hain. Iske Liye Aapko Upr Dikh Rahe Add Music Par Click Karna Hai Aur Apna Pasandeeda Song Usme Lagana Hai.
Kaise Likhe Photos Par Text?
Aap har photo par alag text likh sakte hain. Uske liye aapko sabse phle wah photo select karna hai jis par aapko text likhna hai. Select karne ke bad Upr dikh rahe Caption par click kare. Ab Aapko Photo Ke Upr Add Text Ka box dikhayi dega usme apna text likhe.
Aap Text Ke Upr Animation Bhi Laga Sakte Hai. Aur Chahe To Photos Par Bhi Animation Laga Sakte Hain. jab Aapko Lage Ki Aapka Kam Poora Ho Chuka Hai Aur Video Poori Ho Chuki Hai Tab Upar Dayi Taraf Aapko Save Movie Par Click Karna Hai Jisse Aapki Vidoe System Me Save Ho Jayegi.
Aisi Hi Any Jankari Ke Liye Hamare Sath Jude Rahe.