Apne Mobile Me Space Banane Ke Liye Jab Hum Files Delete Karte Hote Hain. To Kai Bar Aisa Hota Hai Ki Important Files Delete Ho Jati Hai. Aise Hi Hum Jab WhatsApp Ka Data Delete Karte Hain To Kabhi Images/Videos Jo Ki Important Hoti Hain Delete Ho Jati Hain. Ab Recover
Kar Sakte Hain. Ye WhatsApp Ke New Version Me Kiya Ja Skata Hai. Par Uske Liye Aapko Apne Android Ke App Ko Update Karna Hoga Kyu Ki Yah WhatsApp Ke Android App Ke 2.18.113 Par Hi Abhi Aaya Hai. Abhi Filhal Me Yah iOS Users Ke Liye Nahi Hai.
Aur Aapki Jankari Ke Liye Bata Dein Ki Aap Sirf Media File Hi Recover Kar Sakte Hain. Isse Delete Ki Hui Text Files Ko Recover Nahi Kiya Ja Sakta. Chaliye Jante Hain Kaise Kare Media Files Ko Recover.
Ye Bhi Jane:
Aise Kare Photos/Videos Ko Recover:
Files Ko Recover Karne Ke Steps Kuch Is Prakaar Hain-
- Sabse Pehle Aapko Apne Phone Me Apne Dost Ka Message Box Kholna Hai Jaha Se File Ko Recover Karna Chahte Hain.
- Uske Name Par Tap Kare. Aapko Media Dikhayi Dega. Jis Par Aapko Click Karna Hai.
- Iske Bad Aapko Wo Sabhi Media Files Show Hongi Jo Send Ya Receive Ki Gayi Hain.
- Waha Se Download Par Click Karke Aap Apni Files Ko Recover Kar Sakte Hain.
Aisi Hi Any Jankari Ke Liye Hamaare Sath Jude Rahe.
Mere whatsapp ka version to 2.21.1.16 h lekin phir bhi mere whatsapp me ye option nhi h😭 please solve my problem…