Jaise Ki Din Pe Din WhatsApp Kuch New Features Ke Sath Ubharkar Saamne Aata Hai Kuch Usi Prakaar WhatsApp Ne Apne Features Me Kuch Naye Changes Kiye Hain. Yh Badlaav Android Aur iOS Users Dono Ke Liye Hi Hain. Chaliye Jaante Hain In Updates Ke Bare Me:
Kya Hain Ye Features?
Group Description Feature:
WhatsApp Laya Hai Apna ‘Group Description Feature’. Ab Kya Hai Ye Feature, Chaliye Hum Aapko Bataate Hain. Is Naye Feature Ke Mutabik Ab Aap Apne Group Me Uska Group Description Bhi Add Kar Payenge.
Phle Kisi Group Ko Banaate Samay Aap Sirf Uska Title Hi Likh Sakte The. Aapke Paas Iske Alawa Kuch Likhne Ka Option Nahi Aata Tha. Par Ab Aap Wah Group Kis Cheej Se Related Hain Ye Likh Sakenge.
Yah Feature Android Aur iOS dono hi Users Ke Liye Hai. Dono Apne Smartphones me iska upyog kar payenge. Par Aisa Ho sakta hai ki kuch ke phone me update abhi na ho. Par chinta ki baat nahi hai. Yh aapke phones me kuch samay baad ho jayega.
Ye Bhi Jaane:
Jaankari Ke Liye Bata De Ki Ab Jab Aap Group Create Karenge Tab Title Ke Niche Add Group Description Ka Option Dikhayi Dega. Jaha Se Aap Ise Add Kar Bhi Sakte Hain Aur Chaahe To Skip Bhi Kar Sakte Hain. Par Description Ki limit 512 Characters Ki Hai. Isse Jada Characters Nahi Likhe Jaa Sakte.
Admin Ke Alawa Group Ke Any Sadasya Bhi Group Description Ko Laga Ya Hata Sakte Hain. Jis Prakaar Title Ko Bhi Koi Bhi Sadasya Chage Kar Sakte Hai.
Quick Voice to Video Switch Feature:
Saath Hi WhatsApp Ne Ek Aur Updae Kia Hai, Jise ‘Quick Voice to Video Switch Feature’ Kaha Gaya Hai. Iske Mutabik Agar Aap Video Call Par Hain Aur Kisi Ki Audio Call Usi Samay Aaye To Aap Switch Kar Sakte Hain. Aise Hi Audio Call Se Video Call Par Bhi Switch Kar Sakte Hain.
‘Quick Voice to Video Switch Feature’Abhi Sirf Android Users Ke Liye Diya Gaya Hai. Jald Hi WhatsApp Ise iOS Users Ke Liye Bhi Update Karega. Aise Hi Naye Aur Any Updates Jaanne Ke Liye Hamaari Site Sahitarika Se Jude Rahein.