Wi-Fi Ka Password Kaise Pata Kar Sakte Hai | Janiye Sahi Tarika

Wi-Fi Ka Password Kaise Pata Kar Sakte Hai | Janiye Sahi Tarika

Aaiye aaj ham aapko btaynge ki kisi bhi Wi-fi ka password kaise pta karte hai.Aaj kal security itni jyada badh gayi hai.ki logo ko har cheej ke liye secure rahna padta hai. Or uske liye password lock ki suvidha di gayi hai. 

Aise hi wifi ke liye sabhi log jo wifi use karte hai wo usme password lgakar rakhte hai jisse ki koi Unauthersiedusko use na kar sake. Jiski wajah se logo ko fayade bhi hote hai to nuksan bhi hote hai. Ab har cheej mai log password lga kar rkhte hai.Chahe wo mobile ho Computer ho ya fir wifi.

Yah bhi sikhiye- What is Wi-Fi – वाई-फाई क्या है

To har cheej ka password yaad rkhna bhut mushkil ho jata hai. Kabhi kbhi ham paaword bhi bahut bhul jate hai. Apni Id bagera ka password to aap asani se change kar lete hai apne mobile ki help se ya anya kisi tarike se lekin wifi ka password change karne ke liye hame wifi ke customer care ko bulana padta hai.Lekin Ab aapko password change krane ya kisi customer ko bulane ki jarurat nahi hai. Ab aap apna password khud hi pata kar sakte hai. Aaiye jante hai.

Windwos 7 mai ase pata kare uska password-

Windows 7 wi-fi ka password pata karna bahut asana hai. To aaiye dekhiye ki kaise window 7 mai wifi ka password pata kare.

  • Sabse pahle aapko apne Network par click karna hai. Click karne par aapke sare network dikhne lagenge jo bhi aapki range mai honge. Aap apne network par right click kijiye.
  • Right click karne par 3options aaynge usme se aapko properties par click karna hai.
  • Jaise hi aap properties par click karte hai. To aapke samne ek page open hoga.

Wi-Fi Ka Password Kaise Pata Kar Sakte Hai |Janiye Sahi Tarika

  • Ab Jaise hi aap Show charecters par click karnge to aapko password ka pata chal jayga.

Yah bhi sikhiye- भूला हुआ पासवर्ड Google Chrome से आसानी से ऐसे लगा सकते हैं पता

Windwos 8 mai ase pata kare uska password-

  • Windows 8 mai password pata karne ke liye in steps ko follow karna hai.
  • Sabse pahle apne network par jake right click karna hai. Jaise hi aap right clcik karenge to 2 lines mai Troubleshoot problems or Open network or sharing center likha hua dikhayi dega.
  • To aapko open network and sharing center par click Karna hai.
  • To aapke samne kuch is tarah ka page open hoga.Wi-Fi Ka Password Kaise Pata Kar Sakte Hai |Janiye Sahi Tarika Isme aapko Connections ke samne network par click karna hai.
  • Jaise hi aap click karte hai to ek or page open hoga.
  • Usme aapko wireless Properties par click karna hai.Wi-Fi Ka Password Kaise Pata Kar Sakte Hai |Janiye Sahi Tarika Uske bad ek page open hoga then usme top side mai aapko security par click karna hai.

Wi-Fi Ka Password Kaise Pata Kar Sakte Hai |Janiye Sahi Tarika

  • Ab aapke samane is tarah ka page open hoga. Isme aapko show charecters par clcik karna hai. Or aapko password pata chal jayga.
  • Or Is tarah se aap apna password pata kar sakte hai.

Yah bhi sikhiye-  Free Mai Mobile Recharge Kaise Kare |Sahi Jankari

Agar aapko hmare dwara di gayi jankari achhi lagi ho to aap ise share kijiye. Or hmare sath social media par bhi judiye.

Leave a Reply